...

5 views

a note
Chhupa ke apna dard tum kahaan chale?
Woh safar jo tumne kabhi dekha nahin, kabhi suna nahin,
Usko kyun karne chale, kisne bola tumko yeh karne ke liye?
Maine kabhi yeh suna nahin.

Kyun khud ke liye khade ho paate nahin,
Par poori jahaan ke liye khade rah jaate ho?
Hamesha khud ki parvah karo,
Kabhi khud ko samajhne ki thodi si koshish karo.

Utne hi anmol hain tumhare khwab,
Jitba hai unke,
Shayad tumko khud par bharosa nahin jitna mujhe hai.
Toh phir raat bhar kyun sochte ho,

Zindagi sudhaarne ki baatein?
Tum toh khuli chidiya hua karte the,
Kab se yeh pinjre mein rehne lage?
Soch ke bura lagta hai ki tumko bhi duniya ne badal diya.

Ya kahin par tum abhi maujood ho,
Shayad ho, par khoye khoye se, akele se.
Kabhi yaad aaye toh batana,
Ya phir ek note aur likh dena.
© peace