...

12 views

Ab mai thak gaya..
Hai ye dua meri na banu imtehan kisi ki zindagi ka
Aur na koi bane hissa adhura hamari zindagi ka

Us dua ki tofique hi na dena mujhko, jo mere haq me behtar nahi, jo mere taqdeer ka hissa nahi

Phir bhi agar Tu chahe mujhko azmana, sabr ki tofique bhi Tu hi dena ya Khudaya

Kamzor hu mai banda tera, iman bhi Kamzor mera

Mera dil bhi dhadke har us ada ko, jisme Teri ho raza

Mai banda khak gunaho k siwa kya Lata, jannat ka haqdar to nahi tha, magar hua jo Karam Tera

Ab aur na thaka is duniya ki chah me, bahut dard hai mere sine me, bhul gaya hu mai, Teri yaad me hai ilaz mera

© sabrbaaz