...

2 views

Kuch Khass Nishaniyan Jo Aapke sath Rehati hain.
Kuch Nishanion say Aapko sambhal kar chalna hi padta hai. Woh Aapke Kirdar ke liye bahut nazuk sabit ho sakti hai. Haan starting me Nazuk par kab Aapko andar say kathor or Aapke Dil ko Nasoor bana dengi. Aapko Malum bhi nahi chalega. Mehasoos toh Allhamudullilah bahut Kia, par accha hai Beyan ouska aadha bhi nahi Kia. Mai ounse nahi Rakhiti ya Humara ounse kuch nahi hai. Haan, Meri Dadi iss tarah Rishta tode deti hai or jisne Apne- Bhai chore diye. Ousse kya ye oumeed lagana sahi hai. Kl woh badlenge. Or Isleye jab ye Line of thinking Iss family ki Mera samne, 2014 me khul kar aaye the. Kyuke Meri Nani ko bhi toh bhala bura bola tha. Or itni Nafrat, Bugaz or Gair- pana tha ke woh shakal Aaj Tak Mujhe yad hai. Jo bhi ye kehata hai, Ali Ehsaas karta hai. Toh Bilkul karta hun. Ek selfish, Bugaz say Bhari or Lalach say Bhari Boo wali family me paida hona Mera hath me nahi tha. Par Beshak ek cheez Hath me hai, ke Mai Selfless ho jaun......... Waise bhi jab Aapnon ke chehron me Aapke Dil ke Katil baithe hoon. Toh kisi bhi Haqueekat say pehle Aapko ye dekhna padta hai. Aakhir Aapki Haqueekat kya hai. Allah ne Hathon- Pairon ki Takleef. Ek Endless Dard Dia toh zaroor hai.... Par ousse zayada ye Batane ko or samjhane ko Diya hai ounhe Jo Mujhe jante hain. Ke Aapka struggle khass hai or Iss Wajood ki Aahemiyat ko ounn- Jahilon ki Nazar bilkul mat hone dena. Jo Rishton ke Naam par Thagange. Selfless Hona Behatar hai wajahaye Selfish hone ke. Andhruni- Siyasat Aapko sirf Todne ke liye nahi hoti. Aapko ye bhi bata jati hai, ke Aap me or Aapke Dushmanon me kya Farq hai. Toh Apne Difference ki Qudar kar le jiye or woh khud hi Ghuthne take denge. Beshak Insaaf or ilam ki Maujoodgi ko Allah SWT say Behatar koi nahi janta.
© ALI MUZAFFAR. AUTHOR.