...

9 views

Tu nahi hai, ke tu hai.
Behosh is raat ke raaz ko raaz hi rahene de.
Tu dikh ja mujhe, falak ke chaadaron mein kahin.

Tere gham ko mere jazbaat mein bahene de.
Tu jahan chod gaya, main hun abi bhi wahin.

Mere alfaaz ko teri rehnumai mein khone de.
Teri chamak jaisi koi chamak maine dekhi hi nahi.

Teri aagoshi ko mere kwaabon mein ghulne de.
Mere nazm mein teri hayaat hamesha shaamil rahi.

Ruh ko teri, tim timaate taaron se milne de.
Banda tu toh sitaro ka hai, teri zaat ko zameen suhaai nahi.
©eramsaba