...

51 views

Khamoshi.
Haan maana khaamoshi pasand thi mujhe,
Aksar dua ki thi ki zindagi ki tez raftaar tham si jaaye,
Suni ho sadkein,makhmal se hon raste.
Par shayad bhul hui hai mujhse.
Gareebon ke aankho mein bebasi,
pairon par chale, bhuk ki tadap dekh,
roz dil pighal jaata hai.
Aakhir kyun hun mai itni bebas,
ghar baithe unka dukh dekh aankh moond hum so jaate.
Har naya savere kisi ke jaane ki khabar dastak de jaata.
Naa jaane kitne ghar ke aangan sune hain aaj,tadap rahi hai maayein.
Milon ka safar,naa saadhan ki koi umeed naa thikane ki guhar.
Aisi berukhi jisse dekhe bhi andekha kyun kar na padta hai har roz.
Aakhir kyu kuch nahi kar sakte mai.
Kaali raat ke dhanlne ke baad surya ka uday hona,
niyam hai prakriti ka
phir kyu sab maun hain aaj.
Nam hai aaj meri aankhein,kehne aur karne ko kuch nhi bas bhaari mann se maafi hai aaj🙏