...

7 views

Ek Din☀️
Ek din jab savere savere, surmayi se andher ki chaadar hata ke
Ek parvat ke takiye se, sooraj ne sar jo uthaaya, toh dekha
Dil ki vaadi mein chaahat ka mausam hai
Aur yaadon ki daaliyon par
Anginat beete lamhon ki kaliyaan mahekne lagi hain
Ankahi ansuni aarzoo, aadhi soyi hui aadhi jaagi hui
Aankhein malte hue dekhti hai, leher dar leher
Mauj dar mauj, behti hui zindagi
Jaise har ek pal nayi hai aur phir bhi wahi, haan, wahi zindagi
Jiske daaman mein ek mohabbat bhi hai, koyi hasrat bhi hai
Paas aana bhi hai, doorjaana bhi hai aur ye ehsaas hai
Waqt jharne sa behta hua, jaa raha hai, ye kehta hua
Dil ki waadi mein chaahat ka mausam hai
Aur yaadon ki daaliyon par
Anginat beete lamhon ki kaliyaan mahekne lagi hain♥️