...

7 views

Vo kyuki aa raha hai ishq wala mahena ...
Vo kyuki aa raha hai ishq wala mahena
Dil ki dharkan uski bhi badhne lagi hai,
hua hai uss se ishq mujhse
ye baat aur hai saal dar saal gehri hoti rahi hai chahat uski bhi
Vo kyuki aa raha hai ishq wala mahena....

Dil ki baat sunata hai vo
bayaan kar ke har ehsaas muskura deta hai vo
mazak kar raha hun
tu serious mat hona.. bol ke chala jata hai jo
haan ussi zalim ko ishq hai
par chupata hai vo
kyuki aa raha hai ishq wala mahena jo....

Mai batana chahti hun har raaz usko
par mazak mat bol kar vo keh deta hai saare apne ehsaas jo
haan suno na, mai bhi kuch kehna chahti hun
par kahan sunega vo,
meri ek haan se darta hai jo
kyuki aa raha hai ishq wala mahena jo....

suno na ek gulaab deti hun aaj
mai tumko sunati hun apne dil ki baat
rang jo gulaab ka hai
vohi haal-e- dil hai zaar zaar
haan mujhe bhi tumse ishq hai janab....

vo kyuki aa raha hai ishq wala mahena
toh socha tujh sa mazak mai bhi kar lun
ishq-e-izhaar mai bhi kar lun
kyuki aa raha hai ishq wala mahena
tujhe na kho dun
socha keh dun
pyaar ke do meethe bol
kyuki aa raha hai ishq wala mahena huzoor
...
© divyasingh