...

9 views

प्रेम निष्ठा (भाग - 9)
"Mohabbat mai dil ko sukoon nahi milta, mill jaye to mohabbat kesi..."

Aaj Sunday hai aur dekho din bhi kitna khubsurat sa hai mano pure hafte ki thakaan he dur ho gyi ho...
Asmaan to baadlo ke sang behta nazar aa raha hai aur hawaye bhi kitni tej chal rahi hai mano hr ghar ke gamo ko khud sang baha le jayengi, subha ki chaye aur aisa mosam bas hume roj ke kamo se kuch sukoon dekar anand se bhar dete hai...
Mai chaye pite-pite gate ke samne kursi lagaye mosam ke maje he le rahi thi ki Nisha raincoat pehne ghar mai dakhil ho gyi, mene kaha subha-subha ghar kese chal aa he gyi hai to baith ek cup chaye pi aur mosam ke maje loot, Nisha ne kaha magar jaldi lekar aa ab to thand lag rahi hai, Le Nisha teri chaye ready hai aur bata kese aana hua subha-subha Nisha boli ruk jara thoda chaye to pi lu phir batati hu mene kaha theek hai, kuch der baad Nisha bolna to chahti thi magar bol nahi pa rahi thi, akhir himmat karke bol he diya usne kya tu mere sath Prem ki help ke liye chalogi mene kaha itni jaldi side change had he ho gayi yar mujhe ye umeed nahi thi tujhse, Nisha boli arey kya yaar dost he to dost ki madad krte hai, mene bhi keh diya akhir dost hote to vo hume pehle batata yaha pohochne ke baad nhi batata jb jarurat padi mang li help, Nisha ne bola matlab tu nahi jayegi, mene kaha bilkul bhi nhi magar tu apna dekh le...
Nisha boli mai to tujhe lene aayi thi mai to jaungi yaar bechara akele kese karega aur do ghanto ke liye he mai ja rahi hu kyounki mujhe aaj office presentation bhi tayar krni hai, thodi help krke mai vapas isliye subha he ja rahi hu, naraz hona sahi hai magar ye sahi nahi ki tu help he na kare, chal dhanyavad ek cup tasty chaye ke liye aur mai to chali bye-bye...
Nisha ne phir raincoat uthaya aur apni scooty pr savar barish mai nikal padi, phir socha to laga Nisha ke shabd bhi to galat nahi the gussa apni jagah help apni jagah, kya karo jao kya uski help ke liye ya rehne du, Sunday badlo ki tarha mn pr bhi...