...

8 views

HUMANITY
Maine 1 baar padha ,2 baar padha....
mujhe yaqeen hi nhi ho rha tha ki mai LOTTERY jeet gai hu!!!
Room ki sari lights off krne ke baad mai ne fir se on kiya to ehsas hua ki ye such h koi dream nahi!
Samajh nhi aa rha tha kis ko btaun is lottery k bare me...Nahi nahi kisi ko nhi btaungi ..nhi to sb gdbd ho jaega..
Is lottery me mai ne to sirf us gareeb k liye hissa liya tha jiske bahut se khwab is lottery se wabasta the.WO gareeb maa-baap ki eklaoti aulaad thi.Aur uski maa ki ankhon k opretion me use kx paeson ki kami thi.jise wo lottery k through pura krna chahti thi.Wo chaheti thi uski maa ki aankhen fir c duniya ki rangini dekh sake .Apni hdd drja khuddari ki wja c use kisi c paese lena bhi mnzoor nhi tha.
Achanak zehan ne ek faesla kiya.Bahar zoro ki barish ho rhi thi lekin barasti barishon se zada mujhe us khuddar ladki ki barasti aankho ki parwaah thi.
2_3 galiyo ko cross krti jb mai uske ghr pahuchi to WO nind ki duniya m magan thi .Uski maa ko bahut hi ujlat m maine lifafa pakdaya aur apne ghr ki raah li .
Agli subah WO khilkhilate chehre ke sath mere samne thi.Usne kaha yaar tumne mera lifafa khrab kar dala mai apna name tak nahi dek pai.
Maine kaha kya karu yaar kal raat raha hi nhi gya mujhse .barisho me bhigte hue tmhare ghar pahuchi tabhi lifafa khrab ho gya .
Uski tamaniyat bhari muskan mujhe kitna sukoon de rahi thi koi mere dil se poochta!
THE END