...

2 views

एसी वाणी
ऐसी वाणी बोलिए, मन का आपा खोये।
औरन को शीतल करे, आपहुं शीतल होए।।

Jeevan ki atyant sukhad anubhooti tb hoti hai jab jeevan ka margdarshan ap khud krte ho.
Anyaay, pratikaar, pratihaar, uttejana sab feeke se hai jab aap anushashit hote ho.

Chand lamhon se apna nazariya nhi badalte ho aur aap utkrist vicharon se khud ke charitra ko sushobhit krte ho.
Aapka lehza, aapke vakyon ka matlab, aapka saadapan aapke jeevan ko sudrin (सुदृण) krta hai aur aake pe nazariye me ek painapan laata hai.

Achhe vyaktiv ki yahi nishani hai ki aap mridulbhaashi Raho. Bahut si cheeze aapko dekhte bhi ho aur anubhoot bhi krte ho par aap uske antim nirnay se pehle uska jayza krte ho.

Kaiyo baar hum jaisa sochte hai vaisa hi ho aisa asambhav hai. To sambhavtah hume ek pal ka samay dena aana zaroori hota hai, achhe rishton ko ek sunehra roop dene ke liye.

Hum insaan hai aur galtiyan swabhavik hai. Ek galti bhi hogi aur kai galti bhi hogi, par uski soch pe apna nazariya bithana poorn roop se nazayaz hai.
Aap dekhiye, samjhiye, seekhiye aur aklan kijiye. Achhie ho to jeevan me apne usko utariye, agar buri ho to vo aap se na ho usko dhyan rakhiye.

Katu–vachan bahut hi nayaab rishton ko gart me lekr chla jaata hai. To aapko apne aas–pass ka vatavaran kaisa banana hai iske jimmedaar aap khud hote hai.
Subh se shaam hoti hai jisme har pal bas aapka khudka hota hai.

Aap aatmsaad kariye aur khud pe niyatran laaiye. Jindagi aapki bahut khubsurat hogi.

Ek meethi boli bahut hi behtreen rishte ko janm deti hai aur vhi ek katu vachan gambheer ghaav kr deta hai.

Hum saza dene vale koi nhi hai kisiko. Vo upar baitha sabko saza deta hai..

Yeah kal–chakra ko chakra issliye hi bola gya hai kyun ki yeah isi Janam me ghoom kr aati hai aur jeevankaal me mrityu tk aapka saara phal milta hai.

Aaj agr kiska dil dukhaya hai to kal aapki baari hai, ussase bura aur aap bas koste rahenge. Kisi na kisi bahane se vo aapko jhelna hi padega.

Aap agr apne ird–gird hasta chehre ka Karan ho aur meethi boli se dil me rehte ho to aap saarie jindagi khush rehne vale ho.

Ek paed agr paala jaaye aur usko jitna pyar se paala jaaye vo phal bhi utna hi meetha deta hai. Vahi aap usko kaatate peetate ho to ghoom kr khud pe hi aata hai aur aapka jeevan nark ho jaata hai.

To khush rahiye, khush rakhiye, meetha boliye santust rahenge.
Har dar bhagwan nhi hote har ghar bhagwan hote hai kyun ki har insaan me bhagwaan hote hai.

To bhagwan ke khilaaf durbhavna rakhna aghor paap hai. Jiska mulya aapko bhogna hi padega.

Siddharth_Chaturvedi
© profoundwriters