...

12 views

DHUWA
Dhundla dhundla hai sab..
Juth kya or sach kya ...
Sab dhuwa dhuwa hai....

Wahi dhuwa !
Jo us dahakti aag se nikal Rahi hai
Jisne ghar jalan diye, prem vrasht kar diye
Aur use jo hum "manavta" ta ke naam se Jaante hai...
Sab JAL rahi hai.....

Kale dekhne lage hai
Kali Dikhne lagi hai.....
Kali sochne lagi hai

Kaha gaya,

Woh ayana. ..
Jo dikhata hai ....
Sach ka chehra.....

Kya woh tut gaya?..
Ya fir
Us gande kale dhuye ne use bhi kala kar diya?......
Kaha gaya woh ?

Woh ayana...

Ho gaya jehrila sara jahan
Jahan Jau
Dam ghutta hai yahan.....

Dhundh raha hun ...
Woh swarg ka pani ..
Jo ab nahi raha....

Kahan gaya woh swarg
Jo kabhi sirf mera ya tumhara nahi balki hamara tha.....

Kahan gaya...?


© Mohsina Rahman