...

2 views

Kyo humare Desh me angrezi sahitya chalta hai
Dant kathao ke Desh me hum sahitya nahi dhundte hai
Kaise kahe aapse sawalo ko khojte hai
Itna gehra raha hai itihaas humara
Ki Kam karne ko us wazan ko hum bahari sahitya padhte hai
Arey garv hai ramayana aur Mahabharat par isme koi nahi
Magar kabhi kabhi bas waqt guzaarne ko log padhte hai
Na gyaan paana hai maksad Mera na hi khud ko pehchaanna hai.
Padh ne kaa abhi matlab yahi hai ki thakan se ladkar aankho mein neend laana hai
© @kingzaps