...

7 views

Us Shajjar ki chaon mein
Usi shajar ki chaon mein, baithne ki aas mein, jiske jhad chukke the patthe chala gaya vo ek aas mein...
Kabool thi vo budhe shajar ki chaon use, ek bhi hara pattaa na tha....
Vo soch mein baitha yaadon ka ek bus sailaab sa tha...
Sab rishte door huye, sab apne paraye the aaj, socha abu ke gale lagu, paas mein toh the par shayad khuda ko zayada he aziz the....
Tanha sa tha vo ruaansa sa hone laga, bhar chuka tha mann, ab bus aasuon ka fawaara umadne ko tha....
Ek nanhi si awaaz usko aaj mein khench laya, abu mai yahan hun keh kar ek bacche ne use gale lagaya...
Vo ro raha tha andar se, chehre par shinkand na thi, soch raha tha kyu he dooba ateet mein jab vartaman mein vo bhi thi ....
Uthne laga shajar ke paas se toh awaaz aayi, beta aage badho yahi zindgi ki reet hai,mai hun tere saath darr mat
Bus aakhein meech kar gale lag ja!!!
Us shajar ki aad mein baba ne kaha...
Mai chala gaya gum na karna, teri mehfil mein aaj bhi hun, tu pukaarna ek baar mujhe, teri har mushkil ka hal mai he toh hun....
© divyasingh