...

29 views

mahaz baatain
wo dilon ka bewajah dharakna
wo phoolon ka bewajah mahakna
wo chiryon ka bewajah chalna
wo patiyon ka bewajah chatakna
wo baarish ki buundon me betaabi
wo sukoon k lamhe mein udaasi
wo nazron main sharm o haya ka utarna
wo Sharma ke pardon ke piche chupna
wo kaano me baali wo aankhon mein kajal
wo sharmati aankhen wo zulfon ki baadal
wo kehna uska ke main hun teri
wo kehna uska ke tu jaan hai meri
magar yaad aati hai wo baatain wo lamhen
jo thi baatain mahaz baatain
© nazar