...

2 views

Maa ka chupa hua pyaar...
Bachpan me chotti si chot par
haldi Teri Jadoo kar jaati thi
school ke picnic ki Khushi mei
awaaz Teri "jaldi uth" ki pukaar sunai deti hai
aajkal to Aisa ho chuka ki Dil tutne par bhi koi baat tak karta
na Ghar se nikalne par koi "jaldi wapis aana" tokta hai
Maa aaj bachcha Tera kamyaab to ho gaya
bas Aaj kal kamyabi ki daud me shayad tujh se door ho gaya...
© @kingzaps