...

12 views

nariii 🌸🥺
sabko lgta hai ki mai bas ek nari hun
isliye sabki aabhari hun
na ghar pe surakshit hun
na bazar aur na kissi sunsan main
aajkal logo ke liye bas ek khilona hun
log kehte hai thodi moti hun thodi patli Hun thodi kali hun haye haye kitni gori hun
inke liye man ki sundarata mayine rakhti nhi
aur ek aurat kabhi logo ke liye sajti nhi
chote kapdon main thi tabhi lut gyi
par usne sadi pahni thi tab kyu na chhut gyi
uski umar ka lihaz na kiya gya vo bachi thi ya budhi usse mehaz saman samjha gya
din main bahar nikle to maal aur raat ko nikle to baap ka maal samjha gya
kbhi uski kamar to kbhi aur kuch dekha
bhagwan ne sare rakshakon ko dharti pe feka
uss jamane main bhi surakshit nhi thi ek nari
log age badh gye desh age badh gya par abhi bhi nhi surakshit hai ek nari
kabhi ghar ka kam karti hai to bhar ki bate sunni padhti hai
jo na kare ghar ka kam to gharvalo ki sunni padhti hai
uske man ki na kbhi koi smjha aur na samjh payega
ye samaj humesha ek nari ko veshya hi batayega...
haan to mai bas ek nari hu isliye iss duniya aur apne hi gharvalo se hari hun

© akshuu ♥️