...

1 views

bhorsa
hum kab kya sochate hai hum kya karte hai ye humain hi nahi maloom hota hai hum kis se kya baat karte hai ye humain hi nahi pata hota jab aapke pass kuch nahi hota aage badne ki chahat ke alwaa tab chaiye dosto ka saath zindagi main sahi dost mil jate hai na wo aapki zindagi ko khoobsurat bana dete hai par wahi dost kharab nikal jate hai aapki zindagi barbad kar dete hai parivar main jab maa baap rahte hai wo aapke poora jeevan bhar saath dete hai wahi par maa baap na ho aapka Bhai aapka saath de nahi paye to aapka jeevan kya hoga main aapke upar hi chod deta hoon tikh usi tarah main bhai ko samay pe madad nahi kar paavo to aap jante hai meri kya halat hogi aaj ke yug main aap paise nahi kama paye to sab log aapko doshi kahange aur jab aap jo chate hai aur kaam usi tarah karte hai aur usi tarah se aapki zindagi main rukawat paida hoti rahti hai aur aap kuch nahi kar paa rahe hai to bhagwan pe bharosa uth jata hai log aapki sharaer ki aakriti ka mazak banaye to aapko kaisa lagega ek ladka jiska naam Rohit tha wo apni kamayi pe zinda rahna cahata tha uske pitha ne usse kaha ki main teri padai ke liye paisa nahi khrcha kar sakta tu zindagi humesha fail hote aaya aur wo chup ho gaya is karan se maa ke upar davaiyo main Sara khrcha ho jata tha is liye wo kuch nahi kar sakte the phir uski zindagi main ek aur rukawat aagayi phir se apni zindagi ko sawarne ki koshish Kiya par ek us samay ek offer aaya tha uska dost bapan ne diya tha wo tha transport main kaam karne ke liye par wo bhi haath se do wazah se chala gaya ek wazah tha uska dost bapan aur dosti wazah maa kyonki maa ka tabiyat kharab rahne ki wazah se usae ye kaam karna pada phir wahi rukawat uski zindagi ko rula Rahi the wo sochane laga ab main kya karoo phir apne bhai padne ke liye bahar bhaj Diya uske upar mano bhaar hi aagya rishtedar tana marte rahte the aise karte uska samay beete Jaa Raha tha wo bahut logo se mila junior ladke uske kuch dost Bane phir bhi usse milna ka koshish karta tha par koi dost nahi ban paya wo humesha akela apne aapko pane laga yahi hota hai phir apne bhai ko benglore bhaj Diya par wahi se uske patan ki shuruwat hua Bhai nahi hone ke bavjood wo apne mata pita ka dhyan rakha aur uske saath Kai parshnaiya aayi phir bhi umar badte raha aur uske dosto ki shaadi hone lagi aur uske kuch nahi tha bhai success hoke aane ke baad mera jeevan badal gaya mere pita aur bhai main badlav mahoos karne laga aur uske bhai ne Naya ghar liya aur wo apne dosto ko Lata tha uske pita pasand nahi karte wo kuch bhi bolta hai to usko galat sabit karne main lag gaye phir apne bhai ke madad se vypaar ki shuruwat kiya shurwat main jo dikaat tikh tha aur usko hisab kitab mahir taha pahla rukawat aaya uska note bandi us ko sharwat main pahla jhatka diya notbandi usse thoda se aage gaya doosra jhatka mila GST ka aur ye Saab par kar raha tha wahi par uski maa neeche gir gayi ek aur jhatka lag gaya maa ka operation safal raha phir wahi par ek aur jhatka laga uska bhai ke shaadi hui uske baad corona aayi usae bahut bada jahtaka lag gaya in sabse aage ek aur jhatka lagna Tay tha wahi hua uske pita chal jane ka ghum usko thod diya phir dhire dhire kaam ko Badne ki shuruwat kiya jaha uska bhai 15000rupees de raha tha mahena ka wahi par 10000 dene laga Bahi ke pass bhi Kami hone lag Raha tha wo phir udhar maal lane laga usko ye samajh nahi yahi bhaviyash badal dega aur dukan bhada main diya wahaa par uske zindagi ka kamar Tod diya dukan ke wazah se niche jata rah gaya usko ghar main bhi dena pad gaya bhai usko kahne laga dukan main maal rakhkar par apne bhai dikhne ke chakkar maal bharne laga aur dosto ne iska fayda uthane lage us par mano pahad toth gaya aur wo karjdar ban gaya usae naukri karne ki chahat nahi the wo phans gaya uska ek hi lakshay ho gaya karja utare aur ghar main bhi kharcha dena padega wo kare to kya kare ghar se paise jane laga wo charo taraf se phans gaya achanak se Flipkart Amazon mall khulane se business ki halat patal ho gaya achanak se usae ek idea aaya wo house resell karne ka koshish Kiya par kismat ne wahaa par bhi uska saath chod 40ghar aur zameen ki deal ki ek bhi safal nahi hui aur uska Mann toth gaya ab usko koi kaam karne mann nahi lag raha tha uska Darr sach hi nikal gaya log ghar aane lag gaye wo akhir main aatmhatya karne ke liye majboor ho gaya usae jo zindagi chae bhale na mile wo kisi ke samne na jhuke bhagwan ne usko sabke samne jhuka diya apni umar ke mutabik jeena chahta tha par phase jane ke baad usae ashaas hone laga shayad bhagwan usae kamyab dekhan pasand nahi karta bhagwan pe hi bhorsa ut gaya kyonki bhagwan ne usae wo zindagi aur na hi uske taraf dekha uska bhorsa sabse utane laga wo apna zindagi ko kamyaabi ki taraf nahi le jaa paya uska bhorsa bhagwan se ut gaya ab uperwala mujhe kuch nahi dega priwar dost bhagwan in sabka Darr aur aage kuch nahi kar pane ka darr logo ke pariwar ke dosto ko dekhkar usae lagne laga meri zindagi ka koi matlab nahi hai isliye wo nirany liya shayad sahi bhi shayad galat bhi hai usae ek baat ka darr baith gaya mera aane wala zindagi kya hoga sabse badi baat uska zindagi se bhorsa toth gaya
© putta