...

2 views

kahani
College ka wo pehla din tha jahan saare naye students aye the jinme ek thi Taara,
taara ek sweet, simple aur intelligent ladki thi wo iss shehar mein apni studies complete karne ke liye aayi thi, wo wahi pe hostel me rehne lagi thi, ussi hostel ke room me rehne ke liye ek aur ladki aayi Riya,riya bhi ek simple ladki thi aur issi ki classmate thi dono kuch dino bahot achche dost ban gaye the dono hi apni apni feelings aur apne apne secret ek dusre se share karne lage.Ek din dono hi study kar rahe the ki taara ne riya se kaha, riya tumhe pata hai main kisi se pyar karti hoon (riya ne suddenly taara ko mudke dekha) Samar naam hai uska aur ye baat maine usse abhi tak nahi batayi hai actually wo mere dad ke reletive ka beta hai bachpan se hi hamare ghar pe aate rehta hai hum dono bahot achche dost hai mujhe uski behen Sanvi ne mujhse kaha ki samar ne mere sare photos apne paas sambhal kar rakhe hai wo din bhar sirf mere bhare me hi baat karta rehta hai usne sanvi se kaha hai ki wo mujhse bahot pyar karta hai ,main bhi usse bahot pyar karti hoon soch rahi ho usse bata do ya phir uske propose karne ka intezar karon kuch samajh nahi aa raha tum help karo na please, riya ne kaha achcha ji tu aap ne mujhse itni badi baat chupayi thi agar aapko lagta hai ki aapke hero ke paas itni himmat hai ki wo aapko propose karenge toh aap wait kare warna aap hi pehle propose karde aise maamlon me agar ladke kamzor ho toh ladkiyon ko aage hoona padega na.(taara ne sar hilate huwe kaha )haa..ye baat toh sahi kahi tumne waisi tum pyar ke bare me itna kaise janti ho tum bhi kisi se pyar karti ho kya?
(riya ne muskurate hue kaha) ji ha karte hai hamare bhi bachpan ke friend hai Raj,mere mamma ke reletive hai unke bade bhai Aj actually unka asli naam Ajay hai magar sab unhe Aj kehkar bulate hai wo hamare yahan rehte hai job ke liye aur raj unhi se milne ke bahane se hamare yahan aate hai.unhone do saal pehle hi apni feelings batayi hai aapko pata hai taara main sabse itni comfortably baat nahi kar pati thi par jabse wo mere life me aaye hai mujh me ek alag si himmat aayi hai main unke bina jeene ke bare me soch bhi nahi sakti wo mere liye sab kuch hai magar ek daar sa laga rehta hai ki agar mere parents ne accept nahi kiya toh main kya karungi(taara gour se sunte hue) filhaal toh apni studies complete karni hai taki life mein kuch ban jau toh mere parents ko zyada problem nahi hogi hamare relation ko accept karne ke liye.
Ab tum so jao exam's aane wale hai aur holidays par ghar bhi jana hai na jab tum ghar jaungi na toh apni feelings apne hero ko baata dena thik hai.
(exam's khatam ho chuke the sab log apne apne ghar holidays par ja chuke the magar jab wo wapas aaye toh dono ki life mein kuch change hua tha)
Tara riya se milkar riya tumhe pata hai main bahot khush hun maine samar ko apni feelings bata di, aur tumhe pata samar ne mujhse kya kaha wo bhi mujhse bahot pyar karte hai magar unki himmat hi nahi ho rahi thi propose karne ki hum dono ne tai kiya hai ki hum pehle apni studies complete karenge phir apne parents se baat karenge.
Riya ne taara ko gale se laga liya main bahot khush ho tumhare liye kehkar rone lagi,

to be continued......

akhir riya kyun ro rahi thi kya riya ko raj aur taara ko samar milega kya inki love story puri hogi yeh janne ke liye apko kahani-part-2 ka intezaar karna hoga

© princess