...

45 views

love
Suna hai sama ye suhana hua hai
Mera dil khushi ka thikana hua hai

Hame ye aabhi tak pata hi nahi hai
Wafaon ka rishta aabhi tak purana hua hai

Batana raha jo nishana sabhi ko
Wahi tor aage nishana hua hai

Jahaan me kabhi bhi khushi se rahe tu
Mera dil dua ka khajana hua hai

Usse khojne me jamana lagega
Bhulakar jise aab jamana hua hai


© sneha_