...

6 views

Believe In God
Ek samay ki baat hain ek gaon mein sukha pada tha sabhi gaon waale sukha padne se bahot pareshan the kyunki unki fasal nhi ho paa rhi thi or jo thi wo sab bekar ho gyi thi . Toh ek din sabhi gaon waale wahan ke mukhiya ke paas gaye or iss pareshaani se nikalne ka hal maangne lage. Tab sabhi logon ne milke faisla kiya ki wo wahan ke prasidh Shiv mandir jaayenge or wahan jaake bhagwaan se baarish karne ki prathna karenge or unhe bog lagayenge . Dusre din pura gaon mandir jaane ke liye ghar se bhog banake nikle tabhi ek chota sa baccha haath mein chhata liye khada tha toh wahan khade ek aadmi ne uss bacche se pucha ki itni tej dhoop mein tum chhata liye kyun khade ho toh uss bacche ne kaha ki hum sab bagwaan se baarish ke liye prathna karne jaa rahe hain isiliye chhata leke kadha hoon. taki jab baarish ho toh mein bheeg na jaaun. Bacche ki yeh baat sun wahan khade sabhi log zor - zor se hasne lage or kehte hain ki kitna nadaan hai yeh baccha. Fir sabhi log madir paunch kar bagwaan ko bhog laga kar unse baarish karne ki prathna karne lagte hain, jaise hi sabhi gaon waale uss mandir se bahar nikalte hain toh boht zor se baarish hone lagti hain or uss waqt pura gaon wahan khada ho jaata hai or sirf uss bacche ko dekhta hain kyunki sirf uss bacche ke hi haath mein chhata tha or woh wahan se aasaani se ghar waapas jaa sakta tha or sirf uss bacche ko hi vishwaas tha ki bagwaan baarish zarur karenge .

Moral of the story - jab bhi kisi par vishwaas Karo toh poore dil se karo na ki aadha - adhoora .


© adhoore khwab