...

1 views

Main haar nahi sakti!
Asmaa me badal aj fir chha gye h
Lagta h aj fir asmaa rone wala ha
Kai logo ko duniya me Barish ki boondon ko dekhkr sukoon milta ha
Pr mujhe barish se pehle ki shanti aur phir uski boondein dekhkr sirf takleef milti h...lgta ha jaisw koi dil ko khanjar se cheer kr kai hisse bahr nikal rha h....bhot bhari mehsoos hota h.....na jaane usse sb yaad bhi h ya bhoolgya hoga....uski kahi hui batein to yhi kehti ha ki jo samay beet gya thha mera saath uske ...uska ek ek pal jo lga thha ki kitna khyal rkhta thha vo mera...jo lga thha ki mohabbat ha usse jo usne kaha bhi thha..jispr yakeen krke mne uska saath diya....uske sapno ko hasil krne ki koshish ki jbki vo sapne mere thhe bhi nahi....sb glat thha.....aj yakeen krna mushkil ha.....dam ghutta ha har wakt mera....saas to lete ha pr vo bhi ek jang ki tarah....kuchh mahino pehle jb saalo baad khud ko nahi smbhal payi, ek akhri koshish ki mne ....jawab bhi aya udhr se jaise vo raah dekh rhaa ho....lekin jb usne samay ginvaya ki 3 saal hogya ha.....lgaa jaise koi chatttan takrai ho meri chhati se kyuki mere liye to vo pichhle hi pal mere saath thhha....uski yaad me, uske sapne ke liye pta hi ni chala itna lamba arsa zindagi ka beet gya....ajkl bhot jaldi thhakne lagi hoo..m haarna nhi chahti pr bhot mushkil raah par hoo....bahot aaage nikl gya ha vo zindagi me ya fir mujhe ye dikhana chahta h....usne sab bhoola diya...shayad koi fark bhi nhi padta ab usse meri mout se....par main chahte hue bhi ek bhi pal nhi bhula payi....na jane ma kab khulkar saas le paungi....ghutan se azad ho paungi aur apni manzil ,apne sapne hasil krpaungi.....bss itna janti hu ki main nahi haarungi.....saari baarishein zaroor dekhungi..jeeungi jab tak main jeet nahi jaati kyuki meri ladai khud se ha aur main kisi bhi keemat par ab haar nahi sakti!
© J