...

2 views

kahani red light area ki
yeh un dino ki baat hai jab mera breakup hua tha.
komal naam tha uska 7 saal ki relationship pal bhar me tod kr chali gyi. kafhi drink krne laga tha me mere parents bhi bahut fikr me the ke ab kya hoga mere baare me bahut pareshan rehne lage the mere friends bhi bahut samjhate the ke bhool ja yaar ab usse ab woh aane waali nhi. but bahut pyaar krta tha me komal se me accept nhi kr pa rha tha aaise kaise woh mujhe chor kr jaa sakti hai woh bhi bina kisi reason ke. bas itna kaha usne ke ab woh mere saath nhi reh sakti. me un dino itna depression me chala gya tha mano me jinda nhi hu ander se mano me maar hi gya tha ek din kafhi nashe me tha me aur mere mann me kya aaya me red 🔴light area chala gya waha jane ke baad me zumman naam ke ek admi se mila.usne mujhe apne adde pe le gya. aur waha meri mulaqat hui pehli baar reshma se.reshma prostitute thi maine zumman ko paise diye aur chala gya room pe jaha reshma thi waise mera kuch krne ka iraada nhi tha main bas apni dil ki bhadas nikalne na jaane kaise pahuch gya. main kafhi nashe me the mujhe reshma me komal nazar aane lagi maine usse bahut khadi khoti sunayi akhir kyu mujhe chor kr chali gyi meri kya galti thi. akhir aaisa kya hua jo tum mujhe bina kisi wajah chor kr chali gyi. bas itna kehte hi reshma ne kaha yeh aap kya keh rahe ho aur yeh komal koun hai itne me mujhe zara hosh aaya. me waha se uth ke aane wala hi tha ke reshma ne kaha aaise mt jao zumman ko lagega maine aap ko kush nhi kiya to woh mujhe aaj khana nhi dega. itne me mujhe gussa aa gya maine kaha tumhe khane ki fikr hai yaha meri zindagi barbaad ho gyi main sirf ek zinda lash ban gya hu acchi khasi meri noukri chali gyi mere parents pareshan hai kitna dukh ho raha hai unhe mujhe dekh kr lekin tumhe khane ki padi hai kya chati ho tum itne me woh rone lagi aur boli mujhe ghar jaana hai me yaha apni marzi se nhi hu mujhe yaha dhokhe se rakha gya hai pichle 5 saal se. me delhi se hu mera bhai ka naam murad hai us tak yeh baat pauchha do plzz mere mummy papa bahut pareshan honge. itne me hi raid par gayi zumman ne mujhe piche wali raste se nikala jaise taise me waha se to nikal gya raat ko ghar gya to mere papa jage huye the unhone mujhe pyar se smjhya ke kab tak yeh sab chalega komal life me aage badh gyi tu kyu apni aur humari zindagi ko kharab kr raha hai... me bina kuch kahe apne room me chala gya. achanak se mujhe reshma ke baare me yaad aata hai maine socha yeh baat papa ko batata hu . main papa ke pass gya sath dining table pe papa ko saari baatein bataya. mere papa mujhe jante the me kaisa ladka hu unhone kaha kyu yeh sab kr raha hai tu aaisi jagah jane laga ab teri maa ko pata chalega to soch usse kaisa lagega. maine papa ko bola ke ap mujhe batao me kya karu mere papa ne kaha uske bhai ka naam kya bataya tha usne maine kaha muraad papa ne kaha to usko social media me khoj aaj kal waha sab milte hai to maine Facebook khola aur aurad search kiya to bahut sare muraad naam se ID mere samne open ho gyi ab sawal yeh tha ki ab usko dhundhu kaise to mere papa ne kaha frnd list me dekh reshma jarur hogi ab me check krne laga finali 2 din baad mujhe muraad ki ID mil gyi uska phone number maine jaldi se dial kiya aur call muraad ne uthaya maine saari baatein muraad ko bataya dushre din hi muraad delhi se mumbai ke liye rawana ho gya mumbai aate hi usne mujhe call kiya hum mile maine usse kaha humara akele jana save nhi hoga aur polish ko bol kr koi fayda nhi. to me ek NGO ko janta tha to unhe saari baat batayi. dushre din hi hum sab wahi red 🔴light area gaye aur humne muraad ko akele bheja finally muraad apne behan reshma se milta hai waha aur usse batata hai saari baatein ke thodi der me NGO waalein aate hi honge Tu ghabra mat Aur NGO waalein waha pauchte hai aur reshma ko waha se churate hai bahar aakar reshme mujhse zor se gaale lag jaati hai aur kehti hai maine bahut kossish ki maine kahi logo ko bola par kisi ne meri help nhi ki thank u very much meri zindagi ka sabse accha pal tha wo dil ko sabr mila. muraad apni behan reshma ko lekar delhi chala jaata hai aur meri life fir se acchi ho jaati hai maine drink krna bhi ab chor diya job krta hu mere papa mujhse bahut khus hai aur ha ab komal ki bhi yaad nhi aati
© sam