KYU KOE EK CHHODE SAB
Shaadi karte do bandhan lekin kyu ek chhode sab,
Rahe sapne adhure adhuri umeed uski chala ghar ka chulha jab,
Yun to sab gawara karna mushkil hota hai es duniya mai,
Lekin sab gawara karti jab baandhta uske bandhan rab...
Phir kyu lena hai usse dahej jaisa napaak maal,
Lekar kyu banna hai tujhko apne hii khud ka dalaal,
Na kar tu aesa kaam bas uska haath hii tera sab hai,
Ghar laakar bas uske sapno ki or tu ban ja ek kanaal...
Jhok mat usko chulhe mai naahi paani ke bartano mai,
Rakh us jagah jahan kabhi thi ek raani koe tere sapno mai,
Bas itna hii to chahiye use tere dar par khade hokar,
Ke tu kuch nahi to bas us jagah khada ho sake uske armano mai...
Bas yahi to karna hai tujhe saathe uske rehna hai,
Har lamhe bas "saath hoon tere,tu chal" yahi to kehna hai,
Mat banne de usko ek aur AYESHA es bharat ki,
Saath chal uske bas tujhe uske liiye yahi to karna hai ....
Shaadi karte do bandhan lekin kyu ek chhode sab ....
© the_oceanof_words