...

5 views

Neend
Yeh neend lagta hai ki sogayi hai, shayad yeh khwab bhi iske mureed hogaye hai
Shab ki tanhaayi mai aajate hain yeh gham mehfil sajane
Main yehi gham likhta hun, maloom na tha ki innhi ki tashree karne pe yeh bhi tareef karenge, wah wah karenge, ashq bahate bahate muskura kar kahenge ki kya khoob bayan kiya hai
Ab saath toh hai inka, na jaane kyun yeh gham bhi khudko tanha pata hai mere saath
Main ruuh ko sambhalun ya dil ki sunun, kya kaifiyat hai meri, iss baat ko toh bas Allah jaane
© IllusionistForever