Prem
SHAMBHU to kailash me rahte the aur GAURA MAIYA mahlo me rahti thi. Par ye jo sabd hai na PREM bolene me bahut chota hai aur likhna me bass dhai akshar hi hai prem me ,parantu ye sampura jagat iss prem ras se bhare sagar me chalti wo naaov hai jo na to kabhi tootegi nahi dubegi. Ye wo sagar hai jaha pareshani ,taklif sab milengi magar apne is sagar pe, prem pe ,SHAMBHU PE, KRISHNA PE ya jisme bhi aapki a Astha ho unpe sachhe Mann se viswash rakhoge, to sari duniya ki pareshani prem ke aage dhul ke kann ke samaan najar aayengi. Meri Astha aur mere prem jo mere kanha aur Shambhu ke liye hain uske karan hi mai apko bhi apne prem pe bharosa karne ko kahungi. Waqt aur halat sab chehre ki sachai dhikha bhi deta hain aur bahut kuch shikha bhi deta hain...