...

6 views

Koi tha , jo mujhe apna sa lagne laga tha......!!
Koi tha jo mujhe apno se jyada
apna lagne laga tha ,
Woh na toh Mera dost tha or na hi
Ajnabee tha ,
Par mere liye woh boht ahm ho gya tha |

Woh na toh mere dil mein tha
Or na hi kabhi mere zehen mein tha
Bas ik raat ki baat ke baad se
woh mere Dil ka Sukoon ho gya tha ,
Kabhi khwabon mein toh kabhi
khayalon mein
Sirf ussi ke deedar ka pehra ho gya tha |

Woh tha jo sahi ko sahi or
galat ko galat keh sakta tha ,
Woh tha jo bina mujhse mile bhi
mujhe jaan jaaya karta tha ....!!



© adhoore khwab