...

10 views

Wo aakhri mulaqaat
Ek mod par takra gaye hum apne raqeeb se;
Dekh ye hasne lage apne naseeb pe;
Uske saath humara wo kohinoor tha;
Dil ke kareeb tha jo kabhi,ab utna hi dur tha;
Dekh kar mujho wo khamosh ho gayi;
Hume laga shaayad purani yaadoin me kho gayi;
"Kaise ho tum?" Pucha usne bade gumaan me;
Lag raha tha jaise hum ab bhi ho uske amaan me;
Uske liye shayad ye ek sawaal tha;
Humare liye to bas jee ka janjaal tha;
Socha ki bayaan kar du dil ke sab jazbaat;
Kah du Yaad kar use, roya hu har raat;
Socha Gham-e-tanhaai jo dekhi wo bataaun to use;
Dil ke har zakhm ko ab dikhaun to use;
Ulajhta dekh humko dil ne chupke se kaha;
Mat bata use wo gham tumne jo saha;
Ishq hai jo usse to theek koi baat nahi;
Par sabki kismat me milan ki wo raat nahi;
Kya hua jo tut gaye tere saare khwaab;
Muskurate huye ab de inhe jawaab;
Hume bhi laga dil ki har baat sach hai;
Uspar humara ab koi na haq hai;
Phir muskuraate huye hum usse kai baat kah gaye;
Dil ke sab jazbaat magar dil me hi rah gaye;
Kuch is tarah wo aakhri mulaqaat thi;
Is kahaani me bas itni si baat thi...

© PrabhakarKumar