...

28 views

Faliour..
Han woh ladka ab Roz haarta hai
Bahut si khwaisho'n ko Marta hai !!

Muskura kar niklta hai bahar ab
Woh janta hai kis kadar din katta hai !!

subah niklna hai aur din bhaar kaam
shaam ko Aram aur fir raat katta hai !!

bahut sapne dekhe the usne bhi kabhi
ab unhi sapno ko Roz tinka tinka harta hai !!

ehtiyat to bahut Kari sabko samjhane ki
par woh ladka tha isliye man Marta hai !!

kamzor ho kar bhi dikhata nahi sahab
woh is kadar adakari duniya ko dikhata hai !!

Ilzam e bewafi, nikamma ya gair zimmedar
bahut kuch sun kar ab raton ko jagta hai !!

© 1rfan_writes

Related Stories