...

16 views

Bewafai
Teri bewafai se mujhe jayda kuch farak nahi padta,
farak padta hai Tere kahe unn jhute waado se .
tu kehta tha humesha Mai nhi hu unn purano ki tarah ,
par tu nikala unse bhi badhkar unse bhi Kai jayda badhkar.
Kehta tha humesha rakhunga tujhe aapne pass hi .
bolta tha ki Mera sath mat chodna , shak krta tha ki bewafai mat krna.
par Kya hua ye sanam tune hi wafa ka wada karte karte bewafai karde.
Mai to khush thi , thik hi thi akele .
Tu hi Aya or Chala bhi Gaya.
or akele chod gya unn purano ki tarah unn purano ki tarah.

Nahi shawk hai mujhe bar bar Dil Tod k pyar krne pr.
Par Dil hai na ki logo me achi bate dhund leta hai or Dil laga hi leta hai .
par ab bas thak gyi hu aise Dil se bhi Jo mere andar hokr bhi Mera nahi kisi or liye dhadakta hai.

© Anny