...

10 views

alvida Ramadan.
Aisa laga ke palke jhapkin aur woh bas chala gaya.
Maah'a'Ramadan kitne tezi se apne ghar ko laut gaya.

Kya raunak, kya saba aur shaam thi uski.
Itne sannaate mein bhi kya shaan thi uski.

Milta tha aise laga ke barson tak saat rahega.
Tu kar le ibadat jee bhar ke, socha shayad yahi kahega.

Kya Mubarak mahina Khuda ne bheja apne bandon ke liye.
Ja raha hai woh jab mohabbat bulandi par hai meri, Ramadan ke liye.

Is saal ibadat ki bhi kya intehaan hogayi.
Masjid'e'Haram mein bhi insaano ki kami hogayi.

Kun Faya Kun, Ya khuda shayad yehi teri marzi hai
Tere Kun ke intezaar mein hi toh saari duniya tiki hai.

Kyun itna khamosh sa raha Ramadan is dafa.
Khoob kiya hai naaraz, Khuda zaroor hai Humse khafa.

Warna Khuda ki mohabbat toh arsh tak dikhayi deti hai.
Ramadan ke raunak mein Uski awaz sunai deti hai.

Alvida kehna bahut mushkil hai aye mere Mubarak'e'Ramadan.
Intezaar rahega teri agli Aagaz ka, phir milenge mere Maah'e'tamaam.
©eramsaba