...

12 views

bewakoof
Ab fark nahi padta, tumhare jaane se..
na hi koi farq padega tumhare laut aane se..
kyoki...chale jaana, chuna tumne tha..
aur tumhare laut aane ki khwahish ko chuna humne tha...

ab khwahishein bhi tumse to thi,
intezaar me mar gayi, aur saanso ko tanhaaiyo ki aadat si kar gayi...
aur tumne ek baar bhi na socha, mudkar dekhne ki haal yaha kitna behaal hai..
tumhe to muskuraakar jaane diya, baad me ab tak kitna malal hai....

tumhe aksar maine jaagti raaton se, kai sandese bheje..
aur laut kar aaye wo tumhe dekhkar, ye sockar, ki ab yaha kuch na ho payega..
chahe main ro lu, dam ghutne tak markar,
ae mere beete pyaar, ab tu lautkar na aayega....

chalo, accha laga ek muddat baad ye bhi jaankar,
ab tanha nahi tum, jis tarah se main hu..
pyar tumhe shayad, muzse hamesa jyaada, par muz jaisa na kar payega..
aur muz jaisa tumhara ek bewakoof, phir kabhi koi nahi aayega...

Bhushan _ Asaf
© Bhushan _ Asaf