...

6 views

Pyaar
Kai logon ne to humko bola tha kai baar;
Raah-e-mohabbat me mat jaana mere yaar;
Ek hum the jo har baat ko ansuni kar gaye;
Dekhte hi usko hum mohabbat me par gaye;
Uski nigahen jaise pyale ho jaam ke;
Duba jo unme koi jaata hai jaan se;
Julfein thi jaise kishi shikari ka jaal ho;
Faste huye parinde sa humara haal ho;
Chalti thi jab wo lagta tha bahaar aai hai;
Har wor pyaar ki khushbu si chaayi hai;
Wo jaise koi apsara ho aakash ki;
Pahli barish si thi wo saavan ke maash ki;
Wo jaise Mir aur Ghalib ki gazlon ka saar ho;
Jiska barshon se hume intezaar ho;
Jis pal use dekha dekhte hi rah gaya;
Humko laga jaise ki waqt thahar gaya;
Phir thori der unse humari guftgu hui;
Ya yu kahu ki puri dil ki aarzoo hui;
Humne bhi baatoin baatoin me kai baat kah diye;
Dil me chupe huye sab jazbaat kah diye;
Nazarein jhuka kar usne bhi ikraar kar liya;
Apni mohabbat ka izhaar kar liya;
Dono ek doosre ki aankho me kho gaye;
Hum bhi mohabbat me giraftaar ho gaye....



© PrabhakarKumar