...

1 views

Zakham.....
Iss bhag dod ki duniya mein
kabhi kabhi dil ko sambhal leta hun.
Ghamo ki badal ko jajbato ki andar,
chupa kar kabhi kabhi roo deta hun.
Adat to nahi hai meri lekin kya kare,
Kamyaabi ki ummed mein mili nakamyabi ko sakarne ka isse achha marg to mil nahi sakta
Isliye toota,bikhra aur har tarike se bichadta hua khudko duniya se mein mod leta hun.

Lekin sukoon ke rahe par duniya
ki laharo ko to girna hota hi hai,
Chahe aur na chahe sabki zindagi mein
ek lahar ban kar koi aata to hai.
Ooo khamosh bhari ghaav
jo na chahkar bhi bikhrata hai,
woh jhakjhor kar dene wali lahar ho tum
Ahista ahista laat lagane wali
kayanat ki khubsurat Nasha ho tum
Muskurate huyi zindagi mein
kabhi kabhi dard ki wajah ho tum
Pher kabhi kabhi takleef bhari
zakhmo ki marham bani dawa ho tum.
e tum hi ho Jo pyar ka ehsas dilate ho
Pher swabdo se uss pyar ka saabut bhi chahte ho.

Dil ki dard bechani mein kitna praman dekha hai meine.
Lambi lambi waqt tak ankho ki takraar dekha hai meine.
Apne liye nahi sahi kisi aur ke liye dekha hai meine
Apne liye nahi sahi kisi aur ke liye dekha hai meine
Tere khawab bhari ankho par uss pyar ko dekha hai Maine.

© SDC

Related Stories