...

19 views

KAKA KE SHEHAR MAIN
KAKA KE SHEHAR MAIN
(Dedicated to Manisha Valmiki)

Ek sharmanaak hadsa gujara hai KAKA ke shehar main,
Muskurahat baatne wale shehar ko, darindo ne badnaam kar diya !

Kuchh napaak haiwano ne, kisiko be-izaat to kiya,
Kya thaa kusoor us masoom ka, jo apni jaan se gai !

Jaane kya kya ummed thee, uskey maa babuji ko bhi,
Daaman bhar denge bitiya ka, hum khusheyo se sabhi !

Rasookdaar logo ko insaaf, bad kar dila rahey hai kuchh log,
Mugar dalit ki beti per, sabhi ne apney honth see liye !

Kya yahi fark hota hai, ameer aur gareeb ki beti main,
Ek ko inaam hifazat ka aur ek ko hukmarano ki khamoshi ka !

Maa Baap tadapte rahe uskey aakhri deedar ke liye mugar,
Dharam ko taak pe rakh andhere main, usey supurde khak kar diya !

RAKESH JACOB “Ravi”