...

3 views

Hirs.. (greed)
Zamaana sadiyon se gawah hai,
ke Insaan kitna hirs'e'bala hai.

Jeene ke hirs se lekar kabar'e'zameen Tak,
Hirs'e'aala, Nas Nas mein basa hai.

Na hosh hai rooh'e'kabz ke waqt ka,
Na Allah T'alah se milne ka pata hai.

Insaan joh gira hai, ghira hai, andha hogaya hai.
Apne hirs mein Hirs'e'fana ho gaya hai.

Jitna bhi samete, apne taraf yeh daulat'e'duniya,
lekin phir bhi yeh Maqlook'e' hirsi ko sab kam hi padh raha hai.

Shukr kar ke Allah ne di hai Sehat'e'zindagi tujhe,
ke tu is kaabil hai ke Sijde mein gir pada hai.

Shukr kar Allah se un aankon'wa'zubaan ka, jisse tu Harf'e'Qur'an mehsoos kar raha hai.

Hirs karna hai toh Islam ko samajne mein hirs karo,
Joh kehta hai, Hirs kar kam, toh tu kaamyab insaan hai.

Shukr'e'adab ek naya sabaq bana lo,
ke shukar se baraqat hai, aur usi baraqat mein yeh jahan hai.
© eramsaba

#inspirational