...

2 views

#jindagi ki pahal........
jindagi ko to humne bhi tassalli se mehsoos
per naa jane kb yeh dil yuh chur hua...

jindagi ki keemat ki numais her kisi ne ki
per jindagi ki kimat to bs mere dil ke kareeb sakhsiyat ne hi samjhi...

woh sakshiyat bhi khas thi jo her jha se bhi anmo thi l uska rista bhi kya khoob tha jb woh mere dil ka sukoon tha...

sukoon to humne bhi her jagah doonda lekin woh kaise kisi or ke pss hone se milta jb woh mere mehboob ki majoodgi me hi mahek utha or es dil ki bhi tadap mit gai jb mere dil ke kareeb rahne laga...

kushboo to phoole me hoti hai lekin unke pss hone se yeh dil bhi hazaro phoole ke pss hone jaisa mahekna lgaaa or es mahek ko jindagi ne yuh aise kabool kiya jaisa yeh dil ka hi koi anmol Kona ho ....

kone to jindagi me Kai bante bigadate rhe kahi kisi ke pyar ke liye kisi ke liye dular kisi ke liye nafrat kisi ko dekhne ki tadap kisi ko apna kahne ka junoon her Kona es jindagi me bna lekin jo Kona mere mehboob ka bna woh mere dil ke liye sabse ajeej tha jiske bina bhi yeh jeevan bhi jeena ab dushwar saa tha...

jeene ki tadap her kisi ko thi per dukh ki jhalak sab darte the lekin ab dukh bhi meetha saa lga jb mehboob Sona saa Mila...