...

3 views

Ek Aandhi ( cyclone)
Kal mein ek aandhi (cyclone )se mili thi
Ghayal hua, par ankhon mein apne sapne liye ,iss duniyaa kii aur dekh raha tha.

Naensafii ke khilaf awaaz uthake, logon ko jeena ka hosla dekar, khud raat mein apne ghav saaf karte mene us shaks ko dekha hai.

Kii vo ek aandhi hai, jisse apni hukumat ka andaaza hee nhi.



Yun to us kiii ankhon kii chamak pure duniya ne dekhi hai,
Par apne dar kii ankhon mein ankh dalkar usey mene ladhte dekha hai

Kii vo ek aandhiii hai
Jisse apni hukumat ka andaaza hee nhi



Raste kathen, dil bee toota, so (100)pareshaniyaan, par khud par viswaash rakhne waale aandhi se mein mili huin,

Kabhi vo jwala se bhadakta, to kabhi paani sa shant, kabhi ek hawa kee leher sa jhoomta , to kabhi mitti sa sther


Kii vo ek aandhiii hai,
Jisse apni hukumat ka andaaza hee nhi.


Lafz uskii takat , sachae uska ghuroor, noor jahan uska yuin hee naam nhi,

Ye aandhi is bheed mein kahin kho see gye hai

Ab iss andhi ko jagna padega, shatruon kii bheed se ladhna padega .

Kii vo ek andhi hai jisse apni bhuli hukumat ko waapas jagana padega
© Pooja Rana