...

2 views

deep feelings
ek gehra sa samandar dekha
ek khuda apnae andar dekha
Maine apno mae zeher ka sikandar dekha
Maine Kiya bhala to mujhe rulaya
mere saamne kisi aur ko usnae apna bataya
pal pal marna kissae kehte
uss waqt yae mere alawa kisi ko smjh na aaya
Mai dekhti gyi sab kuch
phir ek waqt aaya
sayad kuch kami reh gyi thi ,usnae har ilzaam mujhpae lagaya
Mai chup thi kyunki uss waqt maine apnae bharosae ko tuta paya .