...

3 views

Meri Azaadi Mera Samman
Meri Azaadi Mera Samman,
Mera Dharam ab hai meri Pehchaan,
Faulaadi jang ki kari thi shuruwaat,
Buland awaazo ne de di apni bhi Jaan,
Elaan-E-Jang jab hua shuru,
Khwabon k baandh kitney huye abarooh,
Sarvatra apni dharti aur apni Shaan,
Azaadi ka parcham lehraya gaya
Har ghar Uss der Shaam,
Pushtaini ladai jo jeet kar aaj khul kar kar rahe hain ab sab ab apna kaam,
Kya garvit ho kar chal raha hai apna samaj?
Apni azaadi se jo apni ladai ki jeet hasil kari thi
Kyu ruk gaya hai ab firse wo samaaj?
Chunotiyon se bhar rahi hai sab ki zindagi,
Maramari ki iss duniya me kya firse ladega samaj?
Desh ko azaad toh karwa dia Goron se?
Kalabazari ki iss chunotiyon se kab hoga azaad apna samaj?
Apni Azadi ka jashan toh mana lia,
Kab hoga firse desh Sachha jispar hum sab karein gumaan,
Kab har ghar me hoga ye paimaan
Meri Azaadi , Mera samman
Shik
© All Rights Reserved