...

7 views

problems....
kabhi kabhi silent rahna hi har problem and situation ka solution hota hai...bas kuchh mat bolo chup hi rah jao, kisi ko kuchh mat samjhao, khud ko explain karne ki koi zarurat nhi, kyuki logo ko utna hi samjh aata hai jitna wo samjhna chahte hai aur wo nhi smjh skte....
actually koi kisi ko nhi samjh sakta, bas sab smjha kar chle jate hai....
problem kya hai pata hai, sab ko lagta hai ki uski problem bht badi hai, and problem isliye nhi hoti ki wo problem hai and badi ya chhoti hai, problem isliye bhi hoti hai kyuki hume lagta hai ki problem hai,
aur hum sab thik karne se behtar usse bhag jana ya fir dusro ko blame karna zyada aasan samjhte hai.....
kabhi kabhi hum itne darr jate hai ki logo ko bhi darana shuru kar dete hai khud ki problems....but asal me hum bachna chah rahe hote hai ki kisi tarah apna problem kisi or ko de diya jaye or usse bach jaya jaye isliye apno ko or jo aapko problem me nhi dekh skta use darana shuru kar dete hai.....
hum ye smjhna hi nhi chahte ki problem chahe kaisi bhi ho use solve khud hi karna hota hai.... thode pal ke liye koi aapki bas help kar skta hai aapko tasalli se skta hai usse zyada or kuchh nhi... to behtar na darne or darane se ki tum fight karna sikho....problem kisi achha lagta hai bt usse ladna sikho solve karna sikho, khud se question kro ki ye problem hai hi kyu, koshish kro kaise thik karna hai sab,.....
Defenetly sab thik bhi ho jayega bas barosha or haushla hona chahiye khud me... baki toh kuchh bhi is duniya me mushkil nhi hai....

you can do it if you want.....