the incomplete story
INCOMPLETE STORY
The incomplete story ya fir ek adhoori kahani kuch bhi Keh lo magar kya tha uss kahani main jo writer usse Pura nhi kar paya. Janna chahte ho to fir chlo shuru karte hain adhoori kahani.
1997 Delhi . krishna yadav ke nam se ek writer tha jo kisi magazine company ke liye choti stories likhta tha. Wo boht hi successful writer tha, or log bhi uski kahaniyon me boht dilchspi rakhte the. Or wo apne kaam se boht khush tha magar wo kya haina zindagi humesha kisi ko khush nhi dekh sakti, bas uske sath bhi kuch aisa hi huaa. Jo log uski kahaniya padhte the unhain ab uski kahaniya kuch khas pasand nhi ane lagi thi, or dhire dhire logon ne uski kahaniya padhna hi band kr di. Fir us magazine company ne usse akhri moka diya ek kahani likhne ka agar Iss bar uski kahni kisi ko pasand nhi ati to use or Kam nhi milna tha. Bas issi baat se wo boht ghabra gaya tha, or usne socha ki use ab kuch alag likhna chahiye. Fir shuru hoti hai uski talash ek behter kahani ke liye.
Wo din raat likhta rehta magar use kuch acha nhi lagta. Wo ab pehle se bhi zada pareshan ho chuka tha. Uss rat usne boht sharab pi or jab subha utha to najane use kuch ajeeb sa apne kamre main dikha jaise mano koi use dhimmi si awaz Keh raha hai "yadav teri manzil shivgadh main hai" or fir achanak se uski ankh khuli or usne pani piya.
Fir usne shivgadh ke bare main janna shuru kr diya, or usse pata chala ki wo ek ganv (village) Rajasthan main. Wo har roz wahan Jane ke bare main sochta tha, magar wahan Jane ki himmat nhi Jura pa raha tha.
Magar us rat use wesa hi ehsaas hua jaisa usse us din hua, wahi dhimi awaaz use mano apne pass bula rahi ho. Wo uthta hai magar is bar wo janna chahta hai ki wahan akhir hai kyaa. To bas wo nikal padta hai uss gaanv ki terf. Akhir fir wo boht lambe safar ke baad wahan pahunchta hai. Wo jagah badi hi viraan si thi, Pura gaanv ghumne ke baad fir wo ek purani library ke paas pahunchta hai.
Jahan uski mulaqat ek shaks se hoti hai jo usse kehta hai yadav ji hain ap kya? Or jawab main wo kehta hai haan magar ye baat tum kese jante ho or wo bas use kehta hai ap chahe to yahan ki kuch kitabain padh skte ho,Bas itna Keh kar wo chala jata hai.krishna Yadav wahan jata hai wo kuch kitabain padhne latga hai jinme ki Kala jadu aatma or buri shktiyon ke bare me likha hota hai.. Yadav boht sa Waqt wahan bitata hai or wo lag bhag sari hi kahaniya padhta padhta hai. Magar magar shyad sari khatam nhi karta.
Kuch din...