...

8 views

Maa-Baap
"Maa-Baap"

Bahut pyaari feeling he jab aap ke haath me kisi ki ungli ho jo aapki choti ungli se bhi zyada choti he. aaj bhi jab me apni 2 saal ki pyaari gudiya ke saath khelta hu to bas aisa lagta hai meine duniya jeet li he, aur mujhe kuch nahi chahiye.

Mere bhi Maa-Baap hai, jo ab thode bhude ho chuke hai. Mein unse bahut pyaar karta hu. Shayad apni beti se bhi zyada. Magar aajkal unke saath kuch baaton ko lekar "mann-mutav"he. Humari soch nahi milti, wo aaj bhi apne purane riti-riwaz se kafi prabhavit he. Kafi asar he unpe purani baaton ka.

Maa-Baap hamesha sikhate he kaise pesh aana chahiye, kaise rehna chahiye, kya khana chahiye, kaise baat karni hai, aur ek mard hone ke naate kya kya meri zimmedariya banti hai.

Yej Sab thik hai.
Magar mera ek sawal he aaapse.

"Kya biwi-bachcho ka dhyan rakhne se mard "Maa-Baap" se door ho jaata hai?"
Mera jawab to NAA hai. Lekin

Kabhi Kabhi lagta hai jo saas bahu serial me dikhate he wo shayad sach hi he. Mujhe unke har ideas bure lagte hai jinme meri biwi ke liye asuvidha or unke liye aaram ho. Koi beech ka rasta nikalta hi nhi he jisme sabki sehmati ho, jisme sabhi parivar-jan ki khushi ho, magar wah meri baat se ittefaq nahi rakhte. Wo aise baat karte hai jaise mein apni biwi ko sadak se laaya hu jiska kaam sirf or sirf bartan, jhadu, gusulkhana saaf karna, Khana banana, bachche sambhalna, aur saas sasur ki seva karna hai.

Achcha nahi lagta mujhe apne "maa-baap" se ladke, ab is tarah ki ladai band ho jaye aisi koi dawai nikalni chahiye kisi aspatal se. Shayad aap me se kitne mujhe "biwi-ka-ghulam" kahe.
Magar fakar nahi padta, mujhe ehsaas he ki upar wale ne mujhe ek dimaag diya hai jisse me sach or kaanafusi wali baaton me fark jaan saku. Gandi si feeling aati he jab ladai hoti he ghar me.

Shayad hamari society me "Maa-Baap" ke liye bhi ek chota sa course hona chahiye jisme bahu ko kaise rakha jaata hain pyaar se yeh sikhaya jaaye.

Aaj jab mein apni beti ko apni biwi ki jagah dekh kar dil ghabrata hai, dar lagta hai. Isiliye ab meine yeh thaan li he ki apni beti ko me kisi achche "social work" me masroof rakhunga use kisi aisi field me dalunga jaha wo apna naam roshan kare, kuch bane apne balbute par.