...

3 views

Jinda Jungle
#TheWritingProject

Bahut purane samay ki baat hai,aisa mana jata tha ki ek aisa jungle tha jo bol, sun, dekh, mehsoos aur sab kar sakta tha. Us jungle ka naam hi pad gaya Jinda Jungle.Dheer dheere samay bit ta gaya aur wo sirf logon ki jubaano aur kitabon mein hi kho kar rah gaya . Wo ab sirf ek kahani ban chuka tha jo dadi ya nani sunaya karti thi.
Ab yug audyogik kranti ka aa gaya.Duniya bhar mein logon ne jungalon ko katna shuru kar diya tha apne fayde ke liye. Din par din jansankhya badhti ja rahi thi aur logon ki rahne aur baki jarurato ko pura karne ke liye adhik matra mein ped kate jane lage. Kai jungle puri tarah se khatam ho gaye.
Ab bari us jungle ki thi jise log rahasyamayi bolte the. Koi nahi janta tha kya hoga agar use kata jaye.Par insaan apni takat ke nashe mein chur yeh baat bhool hi gaya tha ki wo jinda jungle tha. Jo koi us jungle mein ped katne jata wo rahasyamayi tarike se gayab ho jata tha.Kisi ko nahi pata tha log kaha jate hain jungle mein jane ke baad.
Aise hi yeh kai saalon tak hota raha tab logon ne aur sarkar ne use aise hi haal mein chhod diya jaise wo tha aur mana kar diya ki koi wahan nahi jayega. Us jungle ko charo taraf se gherabandi kar di gai taki koi andar na ja sake.
Kuchh saalon baad ek vaigyanikon ki team ne us jungle ke upar research karne ke permission liya aur jab wo andar gaye to dekhkar hairan rah gaye ki wo jungle baki jungalon se bahut alag tha. Wahan ke pashu aur pakshi duniya ke pashu- pakshiyon se alag the. Kuchh duri jane ke baad unhe ek jharna dikha aur wo uske paas jate hi kisi dusri duniya mein chale gaye.
Us ghatna ke baad sabhi ko ab pata chal chuka tha ki wo jungle kisi dusri duniya mein jane ka rasta tha jo logon ko wahi dikhata jo wo dekhna chahte the aur log us jungle me jate hi kisi aur duniya mein chale jate the aur kho jate the.....


© Asgar7211