...

4 views

Kala hunar
Hai Kala mujhme kuch kar dikhane ki
aage kadam ar hosla badhane ki
hai umange jeet pane ki
ghar ke kaam ke saath bahar ka bhi kaam kar jane ki
na thaki hu na thakungi
aage badhai hu kadam
piche na hatungi
umange udaan jesi
kuch kar dikhane ki
dua hai maa baap ki
to haar kese manungi
badhte kadam ko aage badhana hai
mera bhi ghar ho
Aashiyana banana hai
hai Kala mujhme bahot se
mehnat karke hi umange sajana hai
jhadoo bartan choka ye karne ke liye kisne roka
bahar kadam badha kar bhi dekho
apne sapne saja kar bhi dekho
Aourat ka sapna bhi hua hai pura
her haq se àadmi ke saath kadam jo joda
barabar ka samman hai
Kala mujh mai bhi hai
Kala tujh mai bhi hai
haar na maani hai na manenge
aage kuch karke zaroor dikhynge
apna bhi ghar banayenge.
safiya khan