...

9 views

kyA jruri hai,har baar first aana,,logo ko prove karna,ki behtar hu mai??
kbhi kabhaar shaam ko nikal jaata hu ,mai
khud ko khojne...
khud ko janne,,
khud ko enjoy karne...
ye sochkar ki,,yaar
jruri hai kyaa...
sabse aage nikalna,,first aana..logo ko prove karna..ki
who I am??
jabki mai khud,khud ko nhi janta,,or chala hu dusro ko prove karne...
hairani hoti hai mujhe..khud pe hasi aati hai..ki kyaa chutiyapa kar raha hu...
or kyu kar raha hu?~
kyu mai,, mediocre reh kar jindagi ka lutf na uthau,,jabardasti ki jalan kisise kahe ki...
kyu hum dusro ko dekh kar khush nhi ho sakte???
kyaa hum,,bhai tu bada hai tu sahi hai,, meri galti hai maaf kar de,,bolkar:--
behas khtam nhi kar sakte hai...
kyu,hum har baat apne ego pe le lete hai.
jo ki,sach me hai bhi nhi...
khair,,chodo,,ye sab keval khaali smay me sochta hu mai..
uske baad,,mai bhi yahi sab karta hu..
lag jata hu logo ko prove karne me..
© Abhishek