...

6 views

First impression is not last impression 💝
Mostly hum sab log samajhte hai ki pyar hamesha dhire dhire hota hai ,par kya kabhi kisi ko pehli najar mein pyar ho sssakta hai ?
shayad ha,ya ho sakta hai ki shayad ye ek attraction ho,to humari aaj ki story bhi kuch aisi hi hai.
Ye story hai Ek Teacher or ek student ki.sunne mein thoda ajeeb hai but kayi bar jab log ko apni age ke logo mein pyar nahi milta hai to fir vo pyar ka matalab hi bhul jate hai.
Nisshchal jo ki ek private institute mein baccho ko coching padhata hai,ek din uski mulakat hoti hai nitya se.nitya ek student hai jo kuch mahino ke liye ek coching join karti hai .vhi uski mulakat nischhal se hoti hai,nitya dikhne mein kafi normal hi thi.
nischhal,nitya ka teacher hai,shuru shuru mein to nitya , nischal ko bahot galat samjhane lagi thi .nischal ki shadi nahi Hui thi ,or vo sab logo se bahot acche se pesh aata tha.par nitya ko uski ye aadte pasand nahi aati thi ,dhire dhire vo nischal ko achi tarah samajhne lagti thi.fir use pata chala ki nishchal dikhawa nahi karta tha ,vo sach mein aisa hi tha ab dhire dhire nischal ko nitya thodi si alag lagne lagti thi ,unlogo ki Vibes bhi match hone lagi thi ,or fir dhire dhire vo dono ek dusre ko pasand karne lagte hai.nitya ab nischal ko pehle ki tarah nahi lagta tha,nitya ki life mein nischal ke aane se uski negativity, anxiety or overthinking bhi kam hone lagi thi,or vo anjane me nitya ko imotionaly suport karne laga tha ,ab nitya pehle se thodi badal gai thi,or vo bhi apna gussa chodkar sabse pyar se bat karne lagi thi,halaki coching ka duration time sirf thoda hi tha islie nitya ab coching chod deti hai.
har bar jaruri nahin hota hai ki har kahani Ko pura hona hi hai kuchh kahaniyan adhuri hokar bhi kisi ki life Badal deti hai aisa hi kuchh Nitya ki life mein bhi hua tha . Nitya Jo hamesha gusse mein rahti thi Apne carrier ke liye bhi aware nahin thi, nischal ke uski life mein aane se uski life kafi sahi ho gai thi. Aksar ek Sahi Insan hamari life mein Jaise bhi aata hai vah hamare sath rahe ya Na rahe fir bhi vah hamari life Badal deta hai aur hamen ek positive life deta hai.