...

12 views

Hidden Key Chapter 1
Hidden Key 🔑
Chapter - 1

Ek baar ki baat hai , Ek ldka tha jiska naam Raj tha vo ek simple ldka tha lekin job mai funds na hona ki wajah sa usko uska company ka ghar sa nikal diya gaya firr kya hona tha usna khud ghar dundhna shuru kr diya ......

lagbhag 4 dino tak vo ghar dhundta raha bahot logo sa bhi pucha lekin koi faida nhi huya lekin ek din jab vo highwaj road sa nikal raha tha toh ussa ek mahal jaisa ghar dikha jo bilkul highway ka side mai tha or vo ghar todha purana sa tha lekin Raj ko laga kya pata rent kam ho . Kyuki Raj ka paas paisa bhi nhi tha toh vo uss ghar ka malik sa milna chala gaya .

Jab vo ghar ka bahar bell bajana laga or jaisa hi uska door pa thak-thak krii gate apna aap khul gaya toh vo thoda darr gaya firr jab vo andar gaya toh ussa ghar mai koi nhi mila toh usna socha abhi ek-do din issi ghar mai reh leta hai baad mai ghar dhund lenga.

Raj ghar ki safai mai lag gaya , Ghar ki safai karta-karta usna dekha ki ghar ka sirf 5 hi darwaza khula hai or baaki band hai or jo bhi darwaza khula hai un sab mai bahot antique samaan hai . Ussa thoda shakk huya lekin baad mai vo uh 5 kamro ki safai krka soo gaya .
Agla din vo uss ghar mai baare mai check krna laga toh ussa kuch nhi milla . Usna socha ki aisa kaisa ghar hai jiski information hi nhi or sochna ka baad usna yeh socha ki ab sa vo iss ghar ka malik hai or vo hi rahega .

Ussi Din.....Raj ko 5th room mai ek game mila jiska naam tha If u can escape so? . Game ka naam ussa acha nhi laga lekin vo usse khelna chahata tha usna jaisa hi box khola usmai sa ek key nikali . Raj na socha ki yeh kis cheez ki key hai or iss game mai or kuch nhi hai ? Bekaar game kahakr vo vaha sa chala gaya .

Suddenly ussa 6th room sa aawaz aayi " Open the Door " , Raj drr gaya or bola ki " Kaun hai vaha , kaun hai iss ghar mai ??? . Raj ko laga ki kya pata yeh iss ghar ka malik ho or us room mai fass gaya ho firr usna aawaz lagai " Open the Door" Raj vaha bhaaga-bhaaga gaya or gate ko kolna ki koshish karri lekin vo khula nhi .

Suddenly ussa firr awaz aati hai lekin iss baar 5th room sa " Use me " . Raj 5th room mai jaakar dekta hai ki waha vo game kamra ka becho-bech pada hota hai or vo aawaz usma sa aarhi hoti hai ." Use Me " , Raj game ko kholta hai or vaha vhi key hoti hai . vo key ko lejakar 6th room ko kolta hai .

Or jaise hi room kholta hai .........😱

      -Utkarsh Aggarwal

Story continue in the next chapter..............

© Utkarsh Aggarwal