...

10 views

Kabhi Kabhi Zindagi Mei Haarna bhi zaroori hai !
Hum jab apni zindagi mei failures ko experience karte hai wo jo moment hota hai na uss waqt aisa lagta hai ki bas ab zindagi khatam ho chuki hai, har chiz hamare khilaf ho rahi hoti hai kuch samjh nhi aata ki kare toh kya kare, kahi koi umeed nazar nahi aati, ander se bilkul toot jate hai , bikhar jate hai.
par pta hai kya? jab situation sbse jyada khraab hote hai asal zindagi wahi se badlna shuru hoti hai, yahi waqt hota hai yaha hamne tuff bnna padta hai, khud ko samjhana hota hai ki it's ok to fail.... par bachpan se hmme hamesha jeetne ke kiye teyar kiya jata hai, har baar success ki baat ki jati hai ,uski importannce btayi jati hai, agar galti se kbhi fail ho gaye toh failure se kaise deal Krna hai ispe koi baat hi nhi Krna chahta.

failure ko ek negative word samjh lete hai log agar koi life mei fail ho bhi gya toh log smjhte hai ki fail hona matlab tum kamzor ho, naakabil ho, tum kuch nhi kar skte, par mujhe aisa lgta hai ki jitna jyada success par zor diya jata hai usee kayi jyada failures or rejection zaroori hai ye baat hmme bachpan se sikhani chaiye kyuki jb hum fail hote hai toh pta nhi hota ki Krna kya hai, aaghe kaise badhna hai.

Bas first aana hai , select hona hai , bada aadmi banna hai yeh sab achha hai magar halato se kaise ladna hai , chizo ko bina dare kaise face karna hai yeh sab bhi toh jeetne ka hisaa hai par hmme kbhi sikaya nhi gya ki results par nhi process par dhyaan dena chahiye.Btana chahiye ki haarna bhi zaroori hai agar yeh struggles, challenges nhi honge toh hum kbhi behtar nhi ho payenge , kuch nya nhi seekh payenge, aur woh pressure nhi handle kar payenge , aur zindagi ki, usse mili har chiz ki kadar nhi hogi hmme.

Agar tumhari zindagi mei kbhi aisa moment aaya hai jisne tumhe tod diya ho , tum preshan huye ho , fail ho gaye ho chahe woh apne rishton mei , kaam mei , toh hmme ghabrana nhi hai kyuki yahi sbse bada failure hamari life ka turning point bnta hai. haan bura lgta hai fail hone par lekin fail hona zaroori bhi hai socho hum nayi tarkeebe azamaate hai jab purane treeke kaam nhi karte, hum rishtey par dhyaan kab dete hai jab rishta tutne ki kagaar par aa jata hai , hum diet kab change karte hai jab bimari gale pad jati hai, hum upper wale se minaate kab karte hai , jab muskil waqt aata hai, hmme apni kamiyon ka pta kab chlta hai jab hum fail ya reject ho jate hai aisi hazaron batein h jinpar hamara dhyaan nhi jata jo ek hi or ishara karti hai ki failures are the best jo hamari adhuri , bigdi chizo ko sudharne ka ek aur mauka mila hai.

ab dekho Zindagi ke lesson zindagi hi de sakti hai jo koi schools ,colleges, ya course kbhi nhi de skte wo bakhoobi jaanti hai kab , kaise kaunsa chapter padhana hai hmme ,woh kahi uthayegi toh giraegi bhi , kbhi hasayegi bhi toh kbhi rukayegi bhi .

ab dekho na manzil bhi toh itni unchi hai or woh asaani se mil jaye aise toh ho nhi sakta kya hai ki zindagi mei kuch bhi free nhi hota yaha har chiz ki keemat ada karni hoti hai mai khud apni zindagi mei kayi baar fail huyi hoon dekho kahaniyaa bhi unki suni jati hai jinki kaamyaabi ke peeche bahut failures, rejections chuppe hote hai tbhi hum unn jaisa bnna chahte hai magar unke jaise bnne ke liye tumhari apni kahani bhi mazedar honi chahiye is liye ab baari hamari hai so apni life mei failures ko bhi accept kro or failures se seekho is liye life mei kbhi kbhi haarna bhi jruri hai.
© कृष्ण_प्रिया
#failure
#rejection
#Insipration
#inspirational
#motivational