...

6 views

Bharath desh ki pragati ka ek vishay
desh jo har praja ka pajechan hain
desh jo har praja ka maan aur samman hain.......
iss desh ko pragati ke path par badhaane keliye RASHTRAPITA MAHATMA GANDHIJI ne swachchata abhiyaan ko badhaava dete rahe
unka vaha sapana ko aaj ke PRADHANI SHREE NARENDRA MODIJI hakikath me badal ne chale hain
prathana hain ki vaha safal ho
yaha achchi baath hain
agar desh swachcha aur saaf suthara ho to wakai desh pragati ke path ka pahal padhaav puri karlega
par,
sirf kya kachara saaf karne se desh swachch bharath kehelayega?????
yaha hamaara sabse bada prashna hain.....
*swachch bharath yaha tabhi kehelayega
jab bhrashthachaar haath dholega
*swachch bharath yaha tabhi kehelayega
jab kaalibaazi mit jayega
*swachch bharath yaha tabhi kehelayeva
jab mahilaonka maan samman badhega
*swachch bharth yaha tabhi kehelayega
jab garibonko apna sthaan milega
*swachch bharath yaha tabhi kehelayega
jab jaati bedh ka chaddar hat jayega
*swachch bharath yaha tabhi kehelayega
jab mandir, masjid, church ek banega
*swachch bharath yaha tabhi kehelayega
jab praja apni desh ki prati kartavya nibhayega
*swachch bharath yaha tabhi kehelayega
jab gulaami, balya vivah, bal karmik, atyachar, bedh-bhav, pranteeyavad, komuvad jaise anek koyle jo aagsi badh rahe hain veh raakh hojaye
sirf tabhi yaha desh SWACHCH BHARATH kehelayega............