...

21 views

Janam din tha 🎂
Kesa raha wo din jo kehte hai janam din tha mera
Udaasi rahi pure hi din chehre par khushi naa thi magar kehte hai wo janam din tha mera
Dosto ko bhi jo din yaad naa raha wo din kehte hai janam din tha mera
Bura nhi laga kisi ka bhi mujhko jo din chala gya kehte hai janam din tha mera
Ghar me hi apno ke saath raha, Ammi jaan kehti hai wo din tha mera
Chhoti see khushi bas apno se hi mili koi dusra saath naa tha
Kehte hai janam din tha mera
Fikar Ab kis baat ki thi yaha apna koi bhi nhi yaha
Pta chal chuka tha us din mujhko jo kehte hai janam din tha mera